​Bin Maa Ke Ye Bachche Dekho ...✍ - The Spirit of Ghazals - लफ़्ज़ों का खेल | Urdu & Hindi Poetry, Shayari of Famous Poets
Bin Maa Ke Ye Bachche Dekho
Kitna gam hai aye do jahan wale.
Bujhte huye diye hai tufan ke hawale
Bin ma ke ye bachche dekho
Phirte mare mare..
Ye bhi the ek roz kisi ki Aankho ke tare..
Bin ma ke ye bachche dekho
Phirte mare mare...
Do roti to de sakta hai Inko ye sansar.
De nahi sakta hai De nahi sakta inko lekin Inki ma ka pyar ..
Khoj khoj ke nanhe munne
Pav jag me hare pav jag me hare..
Bin ma ke ye bachche dekho
Phirte mare mare
Ye bhi the ek roz kisi ki
Aankho ke tare aankho ke tare
Bin ma ke ye bachche dekho
Phirte mare mare
Kahte hai ye jitne musafir
Manjil hai malum manjil hai malum
Bhuli bhatki raho par hai...
Ye bachche masum ye bachche masum
Jane kab tak thokar khaye..
Ye kismat ke mare ye kismat ke mare
Bin ma ke ye bachche dekho
Phirte mare mare..
Ye bhi the ek roz kisi ki
Aankho ke tare aankho ke tare
Bin ma ke ye bachche dekho
Phirte mare mare...
..... कुमार शशि..... 
#_तन्हा_दिल...✍Meri Qalam Mere Jazbaat♡

No comments:

Post a Comment

Pages