Best Urdu Shayari,poetry and Ghazal of Noshi Gilani Collection - The Spirit of Ghazals - लफ़्ज़ों का खेल | Urdu & Hindi Poetry, Shayari of Famous Poets
Best Urdu Shayari,poetry and Ghazal of Noshi Gilani Collection

Best Urdu Shayari,poetry and Ghazal of Noshi Gilani Collection

Share This

About Noshi Gilani

The Spirit of Ghazals - लफ़्ज़ों का खेल has lots of Urdu Noshi Gilani Poetry. Feel free to add your own Noshi Gilani Shayari here.
Best Urdu Shayari,poetry and Ghazal of Noshi Gilani Collection The Spirit of Ghazals - लफ़्ज़ों का खेल has lots of Urdu Noshi Gilani Poetry. Feel free to add your own Noshi Gilani Shayari here.

 Noshi Gilani was born on 14th March 1964 in Bahawalpur Pakistan but moved to Australia after marriage She is one the leading poets of her generation. Some of her important works include Aakhri Khawahish, Mohabatain Jab Sumar Kurna, Udas Honay Kay Din Naheen, Pehla Lafz Mohabat Likha, Selected poems like Ay Meeray Shareek-E-Risal-E-Jaan, Hum Tera Intezaar Kurtey Rahey, “Hawa Chupke se Kehti Hai”,etc. Gilani co-founded the Urdu Academy of Australia (Sydney) in 2009 which promotes Urdu Poetry and literature. Noshi Gilani is a famous female poet belonging from Pakistan. She was born in Bahawalpur city. She has written few poetry books which include Mohabatain Jab Sumar Kurna, Udas Honay Kay Din Naheen, Pehla Lafz Mohabat Likha, Hum Tera Intezaar Kurtey Rahey and Hawa Chupke se Kehti Hai. Keep visiting us for more Noshi Gilani Poetry.

Best Urdu Shayari,poetry and Ghazal of Noshi Gilani Collection Part-1


Yeh meri umar, mere maah o saal de us ko..

Yeh meri umar, mere maah-o-saal de us ko,
Mere khuda mere dukh se nikaal de us ko,
Woh chup kharra hai keyi din se teri khatir to,
Kawaarr khol de azn-e-sawaal de us ko,
Azaab-e-badnazri ka jise shauur na ho,
Yeh meri aankhen, mere hadh-o-haal de us ko,
Yeh dekhna shab-e-hijraan ke kis ki dasstak hai,
Visaal rut hai agar woh, to ttaal de us ko,
Woh jis ka harf-e-duaa roshni hai mere liye,
Main bujh bhi jaaon to maula ujaal de us ko..


Mohabbat ki aseeri se rehaayi maangte rehna..

Mohabbat ki aseeri se rehaayi maangte rehna,

Bohat asaan nahin hota, judaayi maangte rehna,
Zara sa ishq kar lena, zara si aankh-bhar lena,

Iwwaz is ke magar saari khudaayi mangte rehna,
Kabhi mehroom hontton par duaa ka harf rakh dena,

Kabhi wehshat main us ki na-rasaayi mangte rehna,
Wafaaon ke tasalssul se mohabbat rooth jati hai,

Kahani main zara si bewafaayi maangte rehna,
Ajab hai wehshat-e-jaan bhi ke aadat ho gayi dil ki,

Sakoot-e-shaam gham se se humnawaayi mangte rehna,
Kabhi bache ke nanhe hath par titlee ke par rakhna,

Kabhi phir us ke rangon se rehaayi maangte rehna..


Teri khushbu nahin milti, tera lehja nahin milta.

Teri khushbuu nahin milti, tera lehja nahin milta,
Humen to sheher main koi tere jaisa nahin milta,
Yeh kesi dhund main hum tum safar aghaaz kar bethe,
Tumhe ankhen nahin milti, humen chehra nahin milta,
Har ik tadbeer apni raayegaan thehri mohabbat main,
Kisi bhi khawb ko tabeer ka rasta nahin milta,
Bhala us ke dukhon ki raat ka koi mudaava hai,
Woh maan jis ko kabhi khoya hua bacha nahin milta..

Bohat tareek sehraa ho geya hai..

Bohat tareek sehraa ho geya hai,
Havaa ka shor gehraa ho geya hai,
Kisi ke lamss ka yeh mojza hai,
Badan saara sunehra ho geya hai,
Yeh dil dekhoon ke jis ke chaar janib,
Teri yaadon ka pehraa ho geya hai,
Wohi hai haal-o-hadh me roshni si,
Pr til aankhon ka gehraa ho geya hai,
Kabhi uss shakss ko dekha hai tum ne,
Mohabbat se sunehraa ho geya hai..

Sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon..

Ajeeb khawhish hai sheher walon se chup chupa kar kitab likhoon,
Tumhare naam apni zindagi ki kitaab ka intisaab likhoon,
Woh lamha kitna ajeeb tha jab hamari aankhen gale mili theen,
Main kis tarah ab mohabbaton ki shikastagi ka azaab likhoon,
Tumhi ne mere ujaarr raston pe khawhishon ke diye jalaaye,
Tumhi ne chaaha tha khushhk honton se chahton ke gulaab likhoon,
Kabhi woh din they ke neend aankhon ki sarhadon se pare pare thi,
Magar ab jab bhi sona chaahon tumhari yaadon ke khawb likhoon,
Main tanha larrki dayaar -e-shab main jalaaon sach ke diye kahan tak,
Siyaah-kaaron ki saltanat me main kis tarah aftaab likhoon,
Qayaadton ke junoon main jin ke qadam lahuu se range huye hain,
Yeh mere bass main nahin hai ke logo ko izzat-maab likhoon,
Yehi bohat hai ke in labon ko sadaa se mehroom kar ke rakh doon,
Magar yeh kesi musaalahat hai samandron ko saraab likhoon..

Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua..

Ab kis se kahen aur kon sune jo haal tumhare baad hua,
Is dil ki jheel si ankhon main ik khawb bohat barbaad hua,
Yeh hijr-hava bhi dushman hai is naam ke saare rangon ki,
Woh naam jo mere honton pr khushbuu ki tarah abaad raha,
Us sheher me kitne chehre they kuch yaad nahi sab bhool gaye,
Ik shakss kitabon jesa tha woh shakss zubaani yaad hua,
Woh apne gaaon ki galiyan thi dil jin main nachta gaata tha,
Ab iss se fark nahi parta nashaad hua ya shaad hua,
Benaam satayesh rehti thi in gehri saanvli aankhon main,
Aissa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua..

Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon..

Ab apne faisle per khud ulajhne kyun lagi hoon,
Zara si baat par itna bikharne kyun lagi hoon,
Woh jiss mausam ki ab tak muntazir ankhen thi meri,
Ussi mausam se ab main itna darne kyun lagi hoon,
Mujhe nadeeda raston per safar ka shauq bhi tha,
Thakan paaon se liptti hai to marne kyun lagi hoon,
Mujhe yeh chaar deewari ki ronaq maar daale gi,
Main ik imkaan thi manzil ka mittne kyun lagi hoon,
Main jiss ko kam se kam mehsoos karna chahti thi,
Ussi ki baat ko itna samajhne kyun lagi hoon,
Jo mere dil ki galiyon se kabhi guzra nahin tha,
Ab apne hath se khat us ko likhne kyun lagi hoon,
Badan ki raakh tak bhi raston main na bache gi,
Barasti baarishon main yoon sulagne kyun lagi hoon,
Wohi suraj hai dukh ka phir yeh aesa kya hua hai,
Main pathar thi to akhir ab pighalne kyun lagi hoon..


Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumaar karna..

Mohabtain jab shumaar karna to sazishen bhi shumaar karna,
Jo mere hisse main aayi hain woh aziyaten bhi shumaar karna,
Jalaye rakhoon gi subah tak main tumhare raste mein apni ankhen,
Magar kahin zabt toot jaye to barishen bhi shumaar karna,
Jo harf loh-e-wafaa pe likhe huye hain in ko bhi dekh lena,
Jo raayegan ho gayin woh sari ibaartain bhi shumaar karna,
Yeh sardiyon ka udaas mausam ke dharrkne barf ho gayi hain,
Jab in ki yakh-bastgi parakhna, tamaazten bhi shumaar karna,
Tum apni majbooriyon ke qisse zaroor likhna wazahton se,
Jo meri ankhon main jal bujhi hain woh khawhishen bhi shumaar karna..

 


Kissi harf main kissi baab main nahin aye ga..

Kissi harf main kissi baab main nahin aye ga,
Tera zikar meri kitaab main nahin aye ga,
Nahin jaye gi kisi ankh se kahin roshni,
Koi khawb is ke azaab main nahin aaye ga,
Koi khud ko sehraa nahin kare ga meri tarah,
Koi khawhishon ke saraab main nahin aye ga,
Dil-e-badgumaan tere mausmon ko naveed ho,
Koi khaar dast-e-gulab main nahin aye ga,
Usay lakh dil se pukaar lo usay dekh lo,
Koi aik harf jawab main nahin aye ga,
Teri raah takte rahe agarche khabar bhi thi,
Ke yeh din bhi tere hisaab main nahin aye ga..


Jo dard ke sehra mein akela bhi bohat hai..

Jo dard ke sehra mein akela bhi bohat hai,
Uske liye deewar ka saya bhi bohat hai,
Dekha nahi tanhayi mein tum ne kabhi usko, ,
Bichhrre hue logon ke liye roya bhi bohat hai,
Kuch tujhko mohabbat par yakeen tha na wafa par,
Kuch dukh meri taqdeer mein likha bhi bohat hai,
Beenai andheron se bhala kaise bachata,
Ek shakhs tere hijr mein jaga bohat hai,
Wo aur hai jo chhu kar tujhe dekhna chahte,
Mujhko tere khwabki duniya bhi bohat hai,
Kirdar se mehroom tha ye sheher to is na,
Humko dar-o-deewar par likha bhi bohat hai..

Dil Tha Ki Khush Khyaal Tujhe Dekh Kar Hua..

Dil tha ki khush khyaal tujhe dekh kar hua,
ye shehar be-misaal tujhe dekh kar hua.
Apne khilaaf shehar ke andhe huzoom mein,
dil ko bahut malaal tujhe dekh kar hua.
Tool-e shab-e firaaq teri khair ho ki dil,
amaada-e visaal tujhe dekh kar hua.
Ye hum hu jaante hain judaai ke mod par,
iss dil ka jo bhi haal tujhe dekh kar hua.
Aayi na thi kabhi mere lafzon mein roshani,
aur mujh se ye kamaal tujhe dekh kar hua.
Bichhde toh jaise zehan muattal sa ho gaya,
shehar-e sukhan bahaal tujhe dekh kar hua.
Phir log aa gaye mera maazi kuredne,
phir mujh se ek sawaal tujhe dekh kar hua. !!




Woh Baat Baat Mein Itna Badalta Jaata Hai..

Woh baat baat mein itna badalta jaata hai,
ki jis tarah koi lehja badalta jaata hai.
Ye aarzoo thi ki hum uss ke saath saath chalen,
magar woh shakhs toh raasta badalta jaata hai.
Ruttein wisaal ki ab khwaab hone waali hain,
ki uss ki baat ka lehja badalta jaata hai.
Reha jo dhoop mein sar par mere wahi aanchal,
hawa chali hai toh kitna badalta jaata hai.
Woh baat kar jise duniya bhi mo’tabar samjhe,
tujhe khabar hai zamaana badalta jaata hai. !!

Ishq Karo Toh Ye Bhi Socho Arz-e Sawaal Se Pehle..

Ishq karo toh ye bhi socho arz-e sawaal se pehle,
hijr ki poori raat aati hai subah-e wisaal se pehle.
Dil ka kya hai dil ne kitne manzar dekhe lekin,
aankhein paagal ho jaati hain ek khyaal se pehle.
Kis ne reit udaati shab mein aankhein khol ke rakhin,
koi ek misaal toh do na uss ki misaal se pehle.
Kaar-e mohabbat ek safar hai iss mein aa jaata hai,
ek zawaal aasaar sa raasta baab-e kamaal se pehle.
Ishq mein resham jaise waade aur khwaabon ka raasta,
jitna mumkin ho tayy kar lein gard-e malaal se pehle .!!

Ye Naam Mumkin Nahin Rahega, Muqaam Mumkin Nahin Rahega..


Ye naam mumkin nahin rahega, muqaam mumkin nahin rahega,
ghuroor lehje mein aa gaya toh kalaam mumkin nahin rahega.
Ye barf mausam jo shehar-e jaan mein kuchh aur lamhe thehar gaya toh,
lahoo ka dil ki kisi gali mein muqaam mumkin nahin rahega.
Tum apni saanson se meri saansein alag toh karne lage ho lekin,
jo kaam aasaan samajh rahe ho woh kaam mumkin nahin rahega.
Wafa ka kaaghaz toh bheeg jaayega badgumaani ki baarishon mein,
khaton ki baaten toh khwaab hongi payaam mumkin nahin rahega.
Main jaanti hun mujhe yaqeen hai agar kabhi tu mujhe bhula de,
toh teri aanhkon mein roshni ka qayaam mumkin nahin rahega.
Ye hum mohabbat mein la’taalluq se ho rahe hain toh dekh lena,
duaayen toh khair kaun dega salaam mumkin nahin rahega . !!

Ab Kis Se Kahen Aur Kaun Sune Jo Haal Tumhare Baad Hua..


Ab  kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua,
iss dil ki jheel si aankhon mein ek khwaab bahut barbaad hua.
Ye hijr-hawa bhi dushman hai iss naam ke saare rangon ki,
woh naam jo mere honthon par khushboo ki tarah aabaad hua.
Uss shehar mein kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhool gaye,
ek shakhs kitaabon jaisa tha woh shakhs zubaani yaad hua.
Woh apne gaaon ki galiyaan thi dil jin mein naachta gaata tha,
ab iss se farq nahin padta nashaad hua ya shaad hua.
Benaam sataaish rehti thi in gehri saanwali aankhon mein,
aisa toh kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedaad hua. !!

Koi Mujh Ko Mera Bharpoor Sarapa La De..

Koi mujh ko mera bharpoor sarapa la de,
mere baazu, meri aankhein, mera chehra la de.
Aisa dariya jo kisi aur samundar mein gire,
iss se behtar hai ki mujh ko mera sehra la de.
Kuchh nahin chahiye tujh se aye meri umar-e rawaan,
mera bachpan, mere jugnu, meri gudiya la de.
Naya mausam meri beenaai ko tasleem nahin,
meri aankhon ko wohi khwaab puraana la de.
Jis ki aankhein mujhe andar se bhi padh sakti hon,
koi chehra toh mere shehar mein aisa la de.
Kashti-e jaan toh bhanwar mein hai kayi barson se,
aye khuda! ab toh dubo de ya kinaara la de. !!

Mohabbat Kam Nahi Hogi..

Meri aankhein salamat hain,
Mera dil mere seene mein dhadakta hai,
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi.
Mohabbat ek wada hai..
Jo sachai ki undekhe kisi saat mein hota hai,
Kisi rahat mein hota hai.
Ye wada shayari ban ke mere jazbon mein dhulta hai.
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi.
Mohabbat ek mousam hai,
Ki jis mein khwaab ugte hain toh,
Khwabon ki hari shakhein..
Gulaabon ko bulaati hain,
Unhein khushboo banati hain.
Ye khushboo jab
Humaari khidkiyon mein dastakien de kar guzrti hain
Mujhe mehsoos hota hai..
Mohabbat kam nahi hogi…!!





Woh Phool Aise Chaman Mein Khila Gaya Chup Chaap..

Wafa ke waade woh saare bhula gaya chup chaap,
Wo mere dil ki deewaarein hila gaya chup chaap.
Ghum-e hayat ke taptey hue biyabaan mein,
Humein chhod ke woh tanha chala gaya chup chaap.
Na jaane kaun sa woh badnaseeb lamha tha,
Jo ghum ki aag mein mujh ko jala gaya chup chaap.
Main jis ko chhooti hun woh zakhm deta hai,
Woh phool aise chaman mein khila gaya chup chaap… !!

Bahut Aaraam Karna Chahti Hun..

Bahut Aaraam Karna Chahti Hun,
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun.
Shaoor-e Aagahi Ek Almiaa Hai,
Isey Neelaam Karna Chahti Hun.
Main Apni Umar Ke Saare Asaasey,
Tumhaare Naam Karna Chahti Hun.
Tumhaare Kheima-e Khushbu Mein Reh Kar,
Main Subah-o Shaam Karna Chahti Hun.
Charaaghon Se Hawa Ki Dushmani Hai,
Isey Nakaam Karna Chahti Hun. !!

Ye Meri Umar, Mere Maah-o Saal De Uss Ko..

Ye Meri Umar,  Mere Maah-o Saal De Uss Ko,
Mere Khuda Mere Dukh Se Nikaal De Uss Ko …!

Teri Tasweer Dekh Ke Bahut Roye..


Tujhe Khabar Nahi  Hum Dekh Kar Bauht Roye,
Nayi Kitaab Mein Tasveer Ek Puraani Teri …!

No comments:

Post a Comment

Pages